skand puran main varnan hai ki bhagwan shiv maikal parvat par tapasya mai leen the.tab bhagwan shiv ke nabhi se swet paseena gira.uss swet paseene se anupam sundari divya kanya ka padurbhav hua.
jise Aaj Ham maa Narmada ke naam se Jante Hain. Srishti ke Aadi Pranay kal Mein Prithvi per Koi Nadi Nahin Thi devtaon Ne Nadi ko Prithvi par bhejne ke liye Shiv Ji Se Prathna ki tab Fir Shivji Ne uss Kanya Narmada Ji ko Nadi ke roop Mein Prithvi per avtarit hone ka Aadesh Diya. Narmada Ji Ne Aadesh Swikar kar Vardan Manga.
1.main Sada Akshay Bani Rahu Pralaye kal Mein Bhi Mera Nash Na Ho.
2.Main Sada punyashila Bani rahun Jaise Uttar Mein Ganga Hai Usi Prakar Dakshin Mein Main Sabhi devtaon se Pujit Houn.
3.mere Jal Main Rahne Wale Sabhi kankad Shankar Ban Jaaye.
4.Mere tat per aap Sada virajman rahe.
5.mere tat par mrityu payant Rahane wale Sabhi Jiva Ko sadgati prapt Ho.
purano ke anusar Narmada ji ki utpatti magh sukla saptami ashiwini nakshatra ke din madhyahan ke samay Amarkantak main Awataran hua .isi tithi ko Narmada jayanti manai jati hai...
0 टिप्पणियाँ